mohabbat ka sajda ada ho na jae
mohabbat kā sajda adā ho na jaa.e
kahīñ tū kisī kā ḳhudā ho na jaa.e
ḳhalish ġham kī dil se judā ho na jaa.e
kahīñ zindagī be-mazā ho na jaa.e
mohabbat mirī be-ḳhudā ho na jaa.e
kahīñ phir vo zālim ḳhafā ho na jaa.e
kare bhī to kyā aah majbūr-e-ulfat
agar rāh-e-ġham meñ fanā ho na jaa.e
ḳhudā ke liye iltijā yuuñ na Thukrā
kahīñ koī be-āsrā ho na jaa.e
na itne bhī sadme do pāmāl-e-ġham ko
kahīñ sāz-e-dil be-sadā ho na jaa.e
na karnā kabhī arz-e-ġham un se 'sāhir'
kahīñ iltijā bhī gila ho na jaa.e
mohabbat ka sajda ada ho na jae
kahin tu kisi ka KHuda ho na jae
KHalish gham ki dil se juda ho na jae
kahin zindagi be-maza ho na jae
mohabbat meri be-KHuda ho na jae
kahin phir wo zalim KHafa ho na jae
kare bhi to kya aah majbur-e-ulfat
agar rah-e-gham mein fana ho na jae
KHuda ke liye iltija yun na Thukra
kahin koi be-asra ho na jae
na itne bhi sadme do pamal-e-gham ko
kahin saz-e-dil be-sada ho na jae
na karna kabhi arz-e-gham un se 'sahir'
kahin iltija bhi gila ho na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.