mohabbat ka shikasta-pan nazar kya aae bahar se
mohabbat kā shikasta-pan nazar kyā aa.e bāhar se
ye dīmak to badan ko chāTtī rahtī hai andar se
tumhāre hijr kā ye dard-e-sar to mustaqil Thahrā
mujhe lagtā hai jaañ le ke ye utregā mere sar se
mirī tartīb meñ sahrā-mizājī kār-farmā hai
bujhegī pyaas kyā merī bhalā ashkoñ ke sāgar se
terī dahlīz pe maiñ muntazir apnī na rah jā.ūñ
yahī sab sochtī huuñ lauT aatī huuñ tire dar se
mirī ḳhāmoshiyoñ ko chīḳh banñe kā bahut Dar hai
koī āvāz uThne lag paḌī hai mere andar se
'samīna' mas.ala ye hai mirī qāmat se kamtar hai
hamesha pyaas pī kar lauT aatī huuñ samundar se
mohabbat ka shikasta-pan nazar kya aae bahar se
ye dimak to badan ko chaTti rahti hai andar se
tumhaare hijr ka ye dard-e-sar to mustaqil Thahra
mujhe lagta hai jaan le ke ye utrega mere sar se
meri tartib mein sahra-mizaji kar-farma hai
bujhegi pyas kya meri bhala ashkon ke sagar se
teri dahliz pe main muntazir apni na rah jaun
yahi sab sochti hun lauT aati hun tere dar se
meri KHamoshiyon ko chiKH banne ka bahut Dar hai
koi aawaz uThne lag paDi hai mere andar se
'samina' masala ye hai meri qamat se kamtar hai
hamesha pyas pi kar lauT aati hun samundar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.