mohabbat ka taqaza kyon karen hum
mohabbat kā taqāza kyoñ kareñ ham
haqīqat kā tamāsha kyoñ kareñ ham
mohabbat jab ki yak-tarfa nahīñ hai
akele hī guzāra kyoñ kareñ ham
ḳhalish dil kī baḌhātī haiñ jo bāteñ
unhī kā phir i.aada kyoñ kareñ ham
ho jab ehsās kā iz.hār lāzim
phir us ko isti.āra kyoñ kareñ ham
jo hāl-e-zār se sab kuchh ayaañ ho
to phir koī ishāra kyoñ kareñ ham
mohabbat se ibārat hoñ sabhī pal
kisī kā goshvāra kyoñ kareñ ham
sabhī kuchh darmiyāñ jab mushtarak hai
to merā aur tumhārā kyoñ kareñ ham
mohabbat ka taqaza kyon karen hum
haqiqat ka tamasha kyon karen hum
mohabbat jab ki yak-tarfa nahin hai
akele hi guzara kyon karen hum
KHalish dil ki baDhati hain jo baaten
unhi ka phir iada kyon karen hum
ho jab ehsas ka izhaar lazim
phir us ko istiara kyon karen hum
jo haal-e-zar se sab kuchh ayan ho
to phir koi ishaara kyon karen hum
mohabbat se ibarat hon sabhi pal
kisi ka goshwara kyon karen hum
sabhi kuchh darmiyan jab mushtarak hai
to mera aur tumhaara kyon karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.