mohabbat ka un se na iqrar karna
mohabbat kā un se na iqrār karnā
bas āñkhoñ hī āñkhoñ meñ iz.hār karnā
mohabbat agar jurm hai to chalo phir
vo ik baar karnā ki sau baar karnā
ajab naġhmagī hai samā.at se dil tak
muḳhātab mujhe phir se ik baar karnā
taḌapte taḌapte qarār aa gayā hai
tamanna na ab koī bedār karnā
na qurbān ho kar dikhā.eñ to kahnā
nazar pyaar kī ham pe sarkār karnā
'vafā' hai ye e.ajāz terī vafā kā
kisī bevafā ko vafādār karnā
mohabbat ka un se na iqrar karna
bas aankhon hi aankhon mein izhaar karna
mohabbat agar jurm hai to chalo phir
wo ek bar karna ki sau bar karna
ajab naghmagi hai samaat se dil tak
muKHatab mujhe phir se ek bar karna
taDapte taDapte qarar aa gaya hai
tamanna na ab koi bedar karna
na qurban ho kar dikhaen to kahna
nazar pyar ki hum pe sarkar karna
'wafa' hai ye eajaz teri wafa ka
kisi bewafa ko wafadar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.