mohabbat ka wada nibhaya hai maine
mohabbat kā va.ada nibhāyā hai maiñ ne
zamāne ko nīchā dikhāyā hai maiñ ne
kahīñ vaqt is ko na mismār kar de
mahal aarzū kā banāyā hai maiñ ne
vo mujh se bhī aage baḌhā jā rahā hai
jise paañv chalnā sikhāyā hai maiñ ne
zamāne pe chhāyā huā thā añdherā
añdhere meñ dīpak jalāyā hai maiñ ne
musībat meñ tum kyā mirā saath doge
tumheñ bārhā āzmāyā hai maiñ ne
safīna usī ne Duboyā hai merā
jise Dūbne se bachāyā hai maiñ ne
bahār-e-suḳhan mujh se mansūb kar do
bayābāñ ko 'gulshan' banāyā hai maiñ ne
mohabbat ka wada nibhaya hai main ne
zamane ko nicha dikhaya hai main ne
kahin waqt is ko na mismar kar de
mahal aarzu ka banaya hai main ne
wo mujh se bhi aage baDha ja raha hai
jise panw chalna sikhaya hai main ne
zamane pe chhaya hua tha andhera
andhere mein dipak jalaya hai main ne
musibat mein tum kya mera sath doge
tumhein barha aazmaya hai main ne
safina usi ne Duboya hai mera
jise Dubne se bachaya hai main ne
bahaar-e-suKHan mujh se mansub kar do
bayaban ko 'gulshan' banaya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.