mohabbat kar ke sharminda nahin hun
mohabbat kar ke sharminda nahīñ huuñ
maiñ is duniyā kā bāshinda nahīñ huuñ
hisāb-e-dil-barāñ mujh se na māñgo
maiñ ik shā.ir huuñ kārinda nahīñ huuñ
maiñ ik āzād-o-ḳhud-raushan sitāra
kisī sūraj se tābinda nahīñ huuñ
tilism-e-ġham se patthar ho gayā huuñ
maiñ zinda huuñ magar zinda nahīñ huuñ
ye merā ahd mujh meñ jī rahā hai
maiñ bas apnā numā.inda nahīñ huuñ
mohabbat kar ke sharminda nahin hun
main is duniya ka bashinda nahin hun
hisab-e-dil-baran mujh se na mango
main ek shair hun karinda nahin hun
main ek aazad-o-KHud-raushan sitara
kisi suraj se tabinda nahin hun
tilism-e-gham se patthar ho gaya hun
main zinda hun magar zinda nahin hun
ye mera ahd mujh mein ji raha hai
main bas apna numainda nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.