mohabbat ke fasane se na main waqif na tu waqif
mohabbat ke fasāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
sitamgar is zamāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
batā phir kaise hogī ḳhatm ye nafrat kī tārīkī
na.e sūraj ugāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
lage kaise patā hai kaun apnā kaun begāna
kisī ko āzmāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
batā phir kis ne bhaḌkā.ī chaman meñ aag nafrat kī
kisī kā ghar jalāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
kahāñ vo naġhmagī miltī hai ab sehn-e-gulistāñ meñ
koī naġhma sunāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
janam de nafrateñ ko aur ta.assub ko jo phailā.e
sabaq aisā paḌhāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
nahīñ hai kaam koī bhī siyāsat meñ mirā terā
kisī par zulm Dhāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
'qamar' haq kaun phir chhīne milā kar aañkh bātil se
nazar us se milāne se na maiñ vāqif na tū vāqif
mohabbat ke fasane se na main waqif na tu waqif
sitamgar is zamane se na main waqif na tu waqif
bata phir kaise hogi KHatm ye nafrat ki tariki
nae suraj ugane se na main waqif na tu waqif
lage kaise pata hai kaun apna kaun begana
kisi ko aazmane se na main waqif na tu waqif
bata phir kis ne bhaDkai chaman mein aag nafrat ki
kisi ka ghar jalane se na main waqif na tu waqif
kahan wo naghmagi milti hai ab sehn-e-gulistan mein
koi naghma sunane se na main waqif na tu waqif
janam de nafraten ko aur tassub ko jo phailae
sabaq aisa paDhane se na main waqif na tu waqif
nahin hai kaam koi bhi siyasat mein mera tera
kisi par zulm Dhane se na main waqif na tu waqif
'qamar' haq kaun phir chhine mila kar aankh baatil se
nazar us se milane se na main waqif na tu waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.