mohabbat ke jo the aadab sare
mohabbat ke jo the ādāb saare
vo manzar ho ga.e nāyāb saare
mujhe ḳhush dekh kar hote the jo ḳhush
kahāñ vo kho ga.e ahbāb saare
haiñ kyoñ nārāz un se abr-e-bārāñ
paḌe haiñ khet jo be-āb saare
sañbhālegā unheñ kab tak samundar
jo us ke bojh haiñ girdāb saare
guzarte haiñ girāñ chashm-e-kuhan meñ
na.ī tahzīb ke ādāb saare
mohabbat ke jo the aadab sare
wo manzar ho gae nayab sare
mujhe KHush dekh kar hote the jo KHush
kahan wo kho gae ahbab sare
hain kyon naraaz un se abr-e-baran
paDe hain khet jo be-ab sare
sanbhaalega unhen kab tak samundar
jo us ke bojh hain girdab sare
guzarte hain giran chashm-e-kuhan mein
nai tahzib ke aadab sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.