mohabbat ke nashe mein chhan-chhanan karte hue kangan
mohabbat ke nashe meñ chhan-chhanan karte hue kangan
tire hāthoñ meñ aa kar aur bhī mahñge hue kangan
baḌī mushkil se us ke baap ne kangan ḳharīde the
suhāgan tak rahī hai duur se beche hue kangan
binā marzī ke ye zevar faqat bandhan barābar haiñ
nahīñ jachte kisī ke haath meñ bāñdhe hue kangan
bhale kuchh kar nahīñ saktā magar ye dukh to hai mujh ko
parā.e haath meñ jākar bahut maile hue kangan
vo achchhe se samajhtī thī mire ghar-bār kī hālat
so us ke hoñT kan pe ruk ga.e kahte hue kangan
kisī ne taish meñ aakar tire hāthoñ ko jhaTkā thā
mire paañv meñ chubhte haiñ tere TuuTe hue kangan
mohabbat ke nashe mein chhan-chhanan karte hue kangan
tere hathon mein aa kar aur bhi mahnge hue kangan
baDi mushkil se us ke bap ne kangan KHaride the
suhagan tak rahi hai dur se beche hue kangan
bina marzi ke ye zewar faqat bandhan barabar hain
nahin jachte kisi ke hath mein bandhe hue kangan
bhale kuchh kar nahin sakta magar ye dukh to hai mujh ko
parae hath mein jakar bahut maile hue kangan
wo achchhe se samajhti thi mere ghar-bar ki haalat
so us ke honT kan pe ruk gae kahte hue kangan
kisi ne taish mein aakar tere hathon ko jhaTka tha
mere panw mein chubhte hain tere TuTe hue kangan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.