mohabbat ke safar mein be-ruKHi se choT lagti hai
mohabbat ke safar meñ be-ruḳhī se choT lagtī hai
jise ham pyaar karte haiñ usī se choT lagtī hai
zarūrat se ziyāda guftugū achchhī nahīñ lagtī
zarūrat se ziyāda ḳhāmushī se choT lagtī hai
mujhe be-ḳhvāb rātoñ se koī shikva nahīñ phir bhī
añdherā Dastā hai aur chāñdnī se choT lagtī hai
shikasta aur suunī khiḌkiyāñ āvāze kastī haiñ
guzartā huuñ maiñ jab is kī galī se choT lagtī hai
tumhāre saath bhī aisā ho to hairān mat honā
kisī se miltī hai rāhat kisī se choT lagtī hai
yahāñ sab apnī fitrat ke sabab pahchāne jaate haiñ
shikārī zehniyat ko sādgī se choT lagtī hai
kabhī hairān rah jaatā huuñ zālim kī jasārat par
kabhī 'ma.asūm' apnī buzdilī se choT lagtī hai
mohabbat ke safar mein be-ruKHi se choT lagti hai
jise hum pyar karte hain usi se choT lagti hai
zarurat se ziyaada guftugu achchhi nahin lagti
zarurat se ziyaada KHamushi se choT lagti hai
mujhe be-KHwab raaton se koi shikwa nahin phir bhi
andhera Dasta hai aur chandni se choT lagti hai
shikasta aur suni khiDkiyan aawaze kasti hain
guzarta hun main jab is ki gali se choT lagti hai
tumhaare sath bhi aisa ho to hairan mat hona
kisi se milti hai rahat kisi se choT lagti hai
yahan sab apni fitrat ke sabab pahchane jate hain
shikari zehniyat ko sadgi se choT lagti hai
kabhi hairan rah jata hun zalim ki jasarat par
kabhi 'masum' apni buzdili se choT lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.