mohabbat ke safar mein koi bhi rasta nahin deta
mohabbat ke safar meñ koī bhī rastā nahīñ detā
zamīñ vāqif nahīñ bantī falak saayā nahīñ detā
ḳhushī aur dukh ke mausam sab ke apne apne hote haiñ
kisī ko apne hisse kā koī lamha nahīñ detā
na jaane kaun hote haiñ jo baazū thaam lete haiñ
musībat meñ sahārā koī bhī apnā nahīñ detā
udāsī jis ke dil meñ ho usī kī niiñd uḌtī hai
kisī ko apnī āñkhoñ se koī sapnā nahīñ detā
uThānā ḳhud hī paḌtā hai thakā TuuTā badan 'faḳhrī'
ki jab tak saañs chaltī hai koī kandhā nahīñ detā
mohabbat ke safar mein koi bhi rasta nahin deta
zamin waqif nahin banti falak saya nahin deta
KHushi aur dukh ke mausam sab ke apne apne hote hain
kisi ko apne hisse ka koi lamha nahin deta
na jaane kaun hote hain jo bazu tham lete hain
musibat mein sahaara koi bhi apna nahin deta
udasi jis ke dil mein ho usi ki nind uDti hai
kisi ko apni aankhon se koi sapna nahin deta
uThana KHud hi paDta hai thaka TuTa badan 'faKHri'
ki jab tak sans chalti hai koi kandha nahin deta
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 09.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.