mohabbat KHabt hai ya waswasa hai
mohabbat ḳhabt hai yā vasvasa hai
magar apnī jagah ye vāqi.a hai
jise ham vāhima samjhe hue haiñ
vo saaya bhī tirī dīvār kā hai
makāñ sargoshiyoñ se gūñjte haiñ
añdherā rauzanoñ se jhāñktā hai
dar o dīvār chup sādhe hue haiñ
faqat ik ālam-e-hū boltā hai
mirī āñkhoñ pe ainak dūsrī hai
ki ye tasvīr kā ruḳh dūsrā hai
sunā hai Dūbne vaale ne pahle
kisī kā naam sāhil par likhā hai
guzar kis kā huā hai jo abhī tak
do-ālam ā.ina-bardār sā hai
ye duniyā miT ga.ī hotī kabhī kī
magar ik naam aisā aa gayā hai
mohabbat hai 'rasā' merī ibādat
ye merā dil mirā dast-e-duā hai
mohabbat KHabt hai ya waswasa hai
magar apni jagah ye waqia hai
jise hum wahima samjhe hue hain
wo saya bhi teri diwar ka hai
makan sargoshiyon se gunjte hain
andhera rauzanon se jhankta hai
dar o diwar chup sadhe hue hain
faqat ek aalam-e-hu bolta hai
meri aankhon pe ainak dusri hai
ki ye taswir ka ruKH dusra hai
suna hai Dubne wale ne pahle
kisi ka nam sahil par likha hai
guzar kis ka hua hai jo abhi tak
do-alam aaina-bardar sa hai
ye duniya miT gai hoti kabhi ki
magar ek nam aisa aa gaya hai
mohabbat hai 'rasa' meri ibaadat
ye mera dil mera dast-e-dua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.