mohabbat ki farawani mubarak
mohabbat kī farāvānī mubārak
tumheñ āñkhoñ kī tuġhyānī mubārak
tumhārā chāñd puurā ho gayā hai
tumheñ Thahrā huā paanī mubārak
utar aayā hai dil meñ nuur koī
tumheñ chehre kī tābānī mubārak
kisī par phir yaqīñ karne lage ho
tumheñ phir se ye nādānī mubārak
tum apnī baat kahnā jānte ho
tumheñ lafzoñ kī āsānī mubārak
tumheñ ye shor-o-ġhul nairañg-e-duniyā
hameñ sahrā kī vīrānī mubārak
koī sūrat murattab ho rahī hai
ḳhayāloñ kī pareshānī mubārak
mohabbat ki farawani mubarak
tumhein aankhon ki tughyani mubarak
tumhaara chand pura ho gaya hai
tumhein Thahra hua pani mubarak
utar aaya hai dil mein nur koi
tumhein chehre ki tabani mubarak
kisi par phir yaqin karne lage ho
tumhein phir se ye nadani mubarak
tum apni baat kahna jaante ho
tumhein lafzon ki aasani mubarak
tumhein ye shor-o-ghul nairang-e-duniya
hamein sahra ki virani mubarak
koi surat murattab ho rahi hai
KHayalon ki pareshani mubarak
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 49)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.