Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ma-siwa ki jis ne ki gori kaloTi ki

Qasim Ali Khan Afridi

mohabbat ma-siwa ki jis ne ki gori kaloTi ki

Qasim Ali Khan Afridi

MORE BYQasim Ali Khan Afridi

    mohabbat mā-sivā jis ne gorī kaloTī

    yaqīñ kiijo ki kāfir ho ke apnī raah khoTī

    mohabbat mā-sivā allāh har kufr se bad-tar

    faqīroñ ne qanā.at tab to barsīlī lañgoTī

    qanā.at ḳhazīna gar kisī ke haath lag jaave

    nahīñ parvāh rakhtā hai kisī sarrāf soTī

    dil-e-qāne ke ta.iiñ nān-e-javīñ ḳhush-tar ze-tar-halva

    nahīñ ho ehtiyāj us ko pulāv gosht roTī

    jigar khāne meñ apne fā.eda az-bas, kyā jaane

    vo jaane chāshnī chakkhī ho jis ne dil boTī

    tan-e-lāġhar ba-rāh-e-ishq behtar hai bachā ke

    kiyā muzġhe ne kyā hāsil agarche shakl moTī

    ab is duniyā meñ duniyā chhoḌ kar rahnā behtar hai

    kahānī thī baḌī lek 'āfrīdī' ne to chhoTī

    mohabbat ma-siwa ki jis ne ki gori kaloTi ki

    yaqin kijo ki kafir ho ke apni rah khoTi ki

    mohabbat ma-siwa allah ki har kufr se bad-tar

    faqiron ne qanaat tab to barsili langoTi ki

    qanaat ka KHazina gar kisi ke hath lag jawe

    nahin parwah rakhta hai kisi sarraf soTi ki

    dil-e-qane ke tain nan-e-jawin KHush-tar ze-tar-halwa

    nahin ho ehtiyaj us ko pulaw gosht roTi ki

    jigar khane mein apne faeda az-bas, tu kya jaane

    wo jaane chashni chakkhi ho jis ne dil ki boTi ki

    tan-e-laghar ba-rah-e-ishq behtar hai bacha la ke

    kiya muzghe ne kya hasil agarche shakl moTi ki

    ab is duniya mein duniya chhoD kar rahna hi behtar hai

    kahani thi baDi lek 'afridi' ne to chhoTi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now