mohabbat mehrban teri na meri
mohabbat mehrbāñ terī na merī
mukammal dāstāñ terī na merī
gañvā dī umr jis ko jītne meñ
vo duniyā merī jaañ terī na merī
ḳhudā jaane hai kis kā dard kitnā
ye sāñjhī siskiyāñ terī na merī
haiñ nā-insāfiyāñ har samt lekin
khulī ab tak zabāñ terī na merī
bachā hai aur na koī bach sakegā
ġhamoñ kī āñdhiyāñ terī na merī
tū jitnā bhī unheñ apnā samajh le
siyāsī hastiyāñ terī na merī
sahāfat ko ḳharīdā ahl-e-zar ne
rahī ab surḳhiyāñ terī na merī
adākārī riyā-kārī dikhāvā
haqīqat kī zabāñ terī na merī
mohabbat mehrban teri na meri
mukammal dastan teri na meri
ganwa di umr jis ko jitne mein
wo duniya meri jaan teri na meri
KHuda jaane hai kis ka dard kitna
ye sanjhi siskiyan teri na meri
hain na-insafiyan har samt lekin
khuli ab tak zaban teri na meri
bacha hai aur na koi bach sakega
ghamon ki aandhiyan teri na meri
tu jitna bhi unhen apna samajh le
siyasi hastiyan teri na meri
sahafat ko KHarida ahl-e-zar ne
rahi ab surKHiyan teri na meri
adakari riya-kari dikhawa
haqiqat ki zaban teri na meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.