mohabbat mein dil-saKHtiyan aur bhi hain
mohabbat meñ dil-saḳhtiyāñ aur bhī haiñ
uThāne ko sañg-e-girāñ aur bhī haiñ
dhuāñ merī aahoñ kā chhāyā huā hai
tah-e-āsmāñ āsmāñ aur bhī haiñ
satānā jalānā hī aatā hai tum ko
sivā is ke kuchh ḳhūbiyāñ aur bhī haiñ
mire dil ko le kar na pāmāl kījiye
ki is jins ke qadr-dāñ aur bhī haiñ
abhī to faqat hijr meñ dil miTā hai
magar ḳhāna-vīrāniyāñ aur bhī haiñ
tirā jin pe lutf-o-karam hai ziyāda
vo sargarm-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ
'rashīd' ek jaadū raqam haiñ to kyā hai
talāmīz-e-'mahmūd' ḳhaañ aur bhī haiñ
mohabbat mein dil-saKHtiyan aur bhi hain
uThane ko sang-e-giran aur bhi hain
dhuan meri aahon ka chhaya hua hai
tah-e-asman aasman aur bhi hain
satana jalana hi aata hai tum ko
siwa is ke kuchh KHubiyan aur bhi hain
mere dil ko le kar na pamal kijiye
ki is jins ke qadr-dan aur bhi hain
abhi to faqat hijr mein dil miTa hai
magar KHana-viraniyan aur bhi hain
tera jin pe lutf-o-karam hai ziyaada
wo sargarm-e-ah-o-fughan aur bhi hain
'rashid' ek jadu raqam hain to kya hai
talamiz-e-'mahmud' KHan aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.