mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka
mohabbat meñ ik aisā bhī maqām aatā hai mushkil kā
jahāñ ḳhud dil hī ban jaatā hai dushman hastī-e-dil kā
nazar kaisī ḳhayāloñ se hai ūñchā silsila dil kā
pata ḳhud pūchhtā hai ishq mujh se merī manzil kā
har ik karvaT pe dard-e-ishq kī taḌpā nahīñ jaatā
kahāñ tak saath degī zindagī be-tābī-e-dil kā
mirī āñkhoñ meñ maujeñ haiñ mirī nazroñ meñ tūfāñ hai
safīna merā parvarda nahīñ āġhosh-e-sāhil kā
mirī zauq-e-ḳhalish ik mustaqil duniyā-e-rāhat hai
ki har ik ḳhaar pe hotā hai dhokā mujh ko manzil kā
maze tanhā.iyoñ ke bhī kabhī aate haiñ mahfil meñ
kabhī tanhā.iyāñ bhī lutf de jaatī haiñ mahfil kā
pilā sāġhar nigāh-e-mast se bhī kaam le saaqī
mujhe ehsās kuchh hone lagā hai haqq-o-bātil kā
agar samjho to har qatra mohabbat kī kahānī hai
nahīñ ye ashk ik paiġhām hai TuuTe hue dil kā
sadā-e-shauq-e-nazzāra na sāz-e-be-niyāzī hai
bas ik naġhma fazā meñ gūñjtā hai parda-e-dil kā
tire dar par mujhe ye fitrat-e-majbūr laa.ī hai
na jaane aaj kis duniyā meñ aalam hai mire dil kā
ġham-e-pinhāñ ke parde meñ nashāt-e-kāmrānī hai
zamāne se alag haT kar zamāna hai mire dil kā
junūñ kī azmateñ mujh ko 'munīr' āġhosh meñ leñgī
tavāf apnī nigāheñ kar rahī haiñ us kī mahfil kā
mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka
jahan KHud dil hi ban jata hai dushman hasti-e-dil ka
nazar kaisi KHayalon se hai uncha silsila dil ka
pata KHud puchhta hai ishq mujh se meri manzil ka
har ek karwaT pe dard-e-ishq ki taDpa nahin jata
kahan tak sath degi zindagi be-tabi-e-dil ka
meri aankhon mein maujen hain meri nazron mein tufan hai
safina mera parwarda nahin aaghosh-e-sahil ka
meri zauq-e-KHalish ek mustaqil duniya-e-rahat hai
ki har ek KHar pe hota hai dhoka mujh ko manzil ka
maze tanhaiyon ke bhi kabhi aate hain mahfil mein
kabhi tanhaiyan bhi lutf de jati hain mahfil ka
pila saghar nigah-e-mast se bhi kaam le saqi
mujhe ehsas kuchh hone laga hai haqq-o-baatil ka
agar samjho to har qatra mohabbat ki kahani hai
nahin ye ashk ek paigham hai TuTe hue dil ka
sada-e-shauq-e-nazzara na saz-e-be-niyazi hai
bas ek naghma faza mein gunjta hai parda-e-dil ka
tere dar par mujhe ye fitrat-e-majbur lai hai
na jaane aaj kis duniya mein aalam hai mere dil ka
gham-e-pinhan ke parde mein nashat-e-kaamrani hai
zamane se alag haT kar zamana hai mere dil ka
junun ki azmaten mujh ko 'munir' aaghosh mein lengi
tawaf apni nigahen kar rahi hain us ki mahfil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.