mohabbat mein KHamida sar khaDe hain
mohabbat meñ ḳhamīda sar khaḌe haiñ
dar-e-jānāñ guzārish-gar khaḌe haiñ
kisī pe bebasī zāhir na karnā
yahāñ har-sū tamāshā-gar khaḌe haiñ
salāmat 'ishq meñ hai sar sabhī kā
hamīñ haiñ jo burīda-sar khaḌe haiñ
jo ḳhud shāhīñ bane the dekhiye vo
parinde qaid meñ be-par khaḌe haiñ
na jaane 'shād' kitne zindagī meñ
siyāhī oḌh ke manzar khaḌe haiñ
mohabbat mein KHamida sar khaDe hain
dar-e-jaanan guzarish-gar khaDe hain
kisi pe bebasi zahir na karna
yahan har-su tamasha-gar khaDe hain
salamat 'ishq mein hai sar sabhi ka
hamin hain jo burida-sar khaDe hain
jo KHud shahin bane the dekhiye wo
parinde qaid mein be-par khaDe hain
na jaane 'shad' kitne zindagi mein
siyahi oDh ke manzar khaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.