mohabbat mein siyana ho raha hun
mohabbat meñ siyānā ho rahā huuñ
tere dil se ravāna ho rahā huuñ
vajah pā lī hai maiñ ne zindagī kī
maiñ lafzoñ kā divāna ho rahā huuñ
bahut ḳhush huuñ maiñ paidā.ish ke din par
chalo maiñ bhī purānā ho rahā huuñ
basāyā hai kisī ko apne dil meñ
kisī kā āshiyāna ho rahā huuñ
bahut se log mujh ko chāhte haiñ
maiñ jiine kā bahāna ho rahā huuñ
burā ik daur jo dekhā hai maiñ ne
tabhī jā kar zamāna ho rahā huuñ
mohabbat mein siyana ho raha hun
tere dil se rawana ho raha hun
wajah pa li hai main ne zindagi ki
main lafzon ka diwana ho raha hun
bahut KHush hun main paidaish ke din par
chalo main bhi purana ho raha hun
basaya hai kisi ko apne dil mein
kisi ka aashiyana ho raha hun
bahut se log mujh ko chahte hain
main jine ka bahana ho raha hun
bura ek daur jo dekha hai main ne
tabhi ja kar zamana ho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.