mohabbat mein teri jab mujhko aalam ne malamat ki
mohabbat meñ tirī jab mujh ko 'ālam ne malāmat kī
dil-o-jāñ ne tab aapas meñ mubārak aur salāmat kī
qayāmat jis ko kahte haiñ ye ik muddat kā thā misra'
ye mere misra.a-e-mauzūñ ne us qad kī qayāmat kī
kiyā qumrī ne naala aur khīñchī aah bulbul ne
chalī kuchh baat jab gulshan meñ mere sarv-qāmat kī
jab apnā kaam tere 'ishq meñ tadbīr se guzrā
chalī āñkhoñ se merī sail tab ashk-e-nadāmat kī
suḳhan kā ye buzurgoñ kī tatabbo bas-ki kartā hai
nikaltī hai 'hasan' kī baat meñ ik bū qadāmat kī
mohabbat mein teri jab mujh ko 'alam ne malamat ki
dil-o-jaan ne tab aapas mein mubarak aur salamat ki
qayamat jis ko kahte hain ye ek muddat ka tha misra'
ye mere misra-e-mauzun ne us qad ki qayamat ki
kiya qumri ne nala aur khinchi aah bulbul ne
chali kuchh baat jab gulshan mein mere sarw-qamat ki
jab apna kaam tere 'ishq mein tadbir se guzra
chali aankhon se meri sail tab ashk-e-nadamat ki
suKHan ka ye buzurgon ki tatabbo bas-ki karta hai
nikalti hai 'hasan' ki baat mein ek bu qadamat ki
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.