mohabbat mein to jaan-o-dil ka nazrana bhi hota hai
mohabbat meñ to jān-o-dil kā nazrāna bhī hotā hai
kaf-e-afsos ko mal mal ke pachhtānā bhī hotā hai
tujhe pā kar ye jaanā ishq meñ saarī ḳhushī paalī
tujhe kho kar ye samjhā is meñ ġham khānā bhī hotā hai
na phūloñ meñ hai ra.anā.ī na tāroñ meñ hai zebā.ī
baḌā be-kaif shām-e-ġham kā afsāna bhī hotā hai
mohabbat meñ jab iz.hār-e-mohabbat pe ho pābandī
to dil kī baat ko āñkhoñ se samjhānā bhī hotā hai
ye terī be-ruḳhī terā taġhāful bekalī terī
inhīñ ashkāl meñ is dil ko bahlānā bhī hotā hai
shabāb-e-husn pe zebā nahīñ hai naaz ai 'ḳhālid'
kalī jab phuul bantī hai to murjhānā bhī hotā hai
mohabbat mein to jaan-o-dil ka nazrana bhi hota hai
kaf-e-afsos ko mal mal ke pachhtana bhi hota hai
tujhe pa kar ye jaana ishq mein sari KHushi pali
tujhe kho kar ye samjha is mein gham khana bhi hota hai
na phulon mein hai ranai na taron mein hai zebai
baDa be-kaif sham-e-gham ka afsana bhi hota hai
mohabbat mein jab izhaar-e-mohabbat pe ho pabandi
to dil ki baat ko aankhon se samjhana bhi hota hai
ye teri be-ruKHi tera taghaful bekali teri
inhin ashkal mein is dil ko bahlana bhi hota hai
shabab-e-husn pe zeba nahin hai naz ai 'KHalid'
kali jab phul banti hai to murjhana bhi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.