mohabbat mein wafadari se bachiye
mohabbat meñ vafādārī se bachiye
jahāñ tak ho adākārī se bachiye
har ik sūrat bhalī lagtī hai kuchh din
lahū kī sho.abada-kārī se bachiye
sharāfat ādmiyyat dard-mandī
baḌe shahroñ meñ bīmārī se bachiye
zarūrī kyā har ik mahfil meñ baiTheñ
takalluf kī ravā-dārī se bachiye
binā pairoñ ke sar chalte nahīñ haiñ
buzurgoñ kī samajhdārī se bachiye
mohabbat mein wafadari se bachiye
jahan tak ho adakari se bachiye
har ek surat bhali lagti hai kuchh din
lahu ki shoabada-kari se bachiye
sharafat aadmiyyat dard-mandi
baDe shahron mein bimari se bachiye
zaruri kya har ek mahfil mein baiThen
takalluf ki rawa-dari se bachiye
bina pairon ke sar chalte nahin hain
buzurgon ki samajhdari se bachiye
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 192)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.