mohabbat mohabbat jawani jawani
mohabbat mohabbat javānī javānī
diloñ kā fasāna nazar kī kahānī
nigāhoñ ko do izn-e-afsāna-goī
murattab karo koī rañgīñ kahānī
ye aañsū haiñ tum khel sakte ho in se
sitāre na samjho inheñ āsmānī
ġhamoñ ke sahāre jiye jā rahā huuñ
tirā dard hai hāsil-e-zindagānī
hasīñ fursateñ hoñ mayassar to sun lo
nazar meñ liye phir rahā huuñ kahānī
tasavvur se māñgī hai 'altāf' maiñ ne
bahāroñ meñ Duubī huī ik javānī
mohabbat mohabbat jawani jawani
dilon ka fasana nazar ki kahani
nigahon ko do izn-e-afsana-goi
murattab karo koi rangin kahani
ye aansu hain tum khel sakte ho in se
sitare na samjho inhen aasmani
ghamon ke sahaare jiye ja raha hun
tera dard hai hasil-e-zindagani
hasin fursaten hon mayassar to sun lo
nazar mein liye phir raha hun kahani
tasawwur se mangi hai 'altaf' main ne
bahaaron mein Dubi hui ek jawani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.