mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai
mohabbat muñh pe karnā aur dil meñ bevafā.ī hai
ye ā.īna yahāñ kahtā hai kaisī āshnā.ī hai
bhalā bosa ham us se aaj māñgeñge kisī Dhab se
tavaqqo to nahīñ lekin ye taal.e āzmā.ī hai
muhibboñ ko kareñ haiñ qatl dushman ko jalāte haiñ
butoñ kī bhī miyāñ sāhib nirālī hī ḳhudā.ī hai
ajā.ib rasm hai un dilbarān-e-dahr kī yā rab
kisī ke saath jā sonā kahīñ saa.ī badhā.ī hai
ye āshiq apne apne ashk ko tūfān kahte haiñ
jo sach pūchho to ye gañgā hamārī hī khudā.ī hai
ilāhī kyā banegī saath mere shaiḳh-o-vā.iz ko
idhar rindī sharābī hai udhar ko pārsā.ī hai
nahīñ ye abr-o-bārāñ 'soz' ke ahvāl ko sun kar
falak kī bhī mohabbat se ye ab chhātī bhar aa.ī hai
mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai
ye aaina yahan kahta hai kaisi aashnai hai
bhala bosa hum us se aaj mangenge kisi Dhab se
tawaqqo to nahin lekin ye tale aazmai hai
muhibbon ko karen hain qatl dushman ko jalate hain
buton ki bhi miyan sahib nirali hi KHudai hai
ajaib rasm hai un dilbaran-e-dahr ki ya rab
kisi ke sath ja sona kahin sai badhai hai
ye aashiq apne apne ashk ko tufan kahte hain
jo sach puchho to ye ganga hamari hi khudai hai
ilahi kya banegi sath mere shaiKH-o-waiz ko
idhar rindi sharabi hai udhar ko parsai hai
nahin ye abr-o-baran 'soz' ke ahwal ko sun kar
falak ki bhi mohabbat se ye ab chhati bhar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.