mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai
mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai
jahāñ ye silsila TuuTā samajh lenā qayāmat hai
amā sīkho zarā ham se mohabbat kaise karte haiñ
use jis se mohabbat hai hameñ us se mohabbat hai
ye titlī phuul ḳhushbū kyā koī saanī nahīñ us kā
tumheñ kaise batā.ūñ maiñ vo kitnī ḳhūbsūrat hai
yahī ik baat ab donoñ kī peshānī pe likkhī hai
mujhe terī zarūrat hai mujhe terī zarūrat hai
mohabbat naam ke us shaḳhs ko ham se koī pūchhe
vafā poshāk aur saada mizājī jis kī rangat hai
ḳhudā ne anginat chehre banā.e hoñge duniyā meñ
mirī āñkhoñ meñ 'kāshif' aaj tak bas ek sūrat hai
mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai
jahan ye silsila TuTa samajh lena qayamat hai
ama sikho zara hum se mohabbat kaise karte hain
use jis se mohabbat hai hamein us se mohabbat hai
ye titli phul KHushbu kya koi sani nahin us ka
tumhein kaise bataun main wo kitni KHubsurat hai
yahi ek baat ab donon ki peshani pe likkhi hai
mujhe teri zarurat hai mujhe teri zarurat hai
mohabbat nam ke us shaKHs ko hum se koi puchhe
wafa poshak aur sada mizaji jis ki rangat hai
KHuda ne anginat chehre banae honge duniya mein
meri aankhon mein 'kashif' aaj tak bas ek surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.