mohabbat raegani hai sambhal ja
mohabbat rā.egānī hai sambhal jā
aziyyat kī kahānī hai sambhal jā
tujhe mīrās meñ hijrat milī hai
tabhī to lā-makānī hai sambhal jā
mohabbat jaan ko aa.ī huī hai
balā-e-nā-gahānī hai sambhal jā
ye barqī rābte se kaT na jaa.e
ye rishta āsmānī hai sambhal jā
ise dariyā samajh kar paar mat kar
mirī āñkhoñ kā paanī hai sambhal jā
ye āñkheñ surḳh ye pairoñ ke chhāle
kisī kī mehrbānī hai sambhal jā
vo mere gaañv ke raste meñ hogā
abhī bhī ḳhush-gumānī hai sambhal jā
mohabbat raegani hai sambhal ja
aziyyat ki kahani hai sambhal ja
tujhe miras mein hijrat mili hai
tabhi to la-makani hai sambhal ja
mohabbat jaan ko aai hui hai
bala-e-na-gahani hai sambhal ja
ye barqi rabte se kaT na jae
ye rishta aasmani hai sambhal ja
ise dariya samajh kar par mat kar
meri aankhon ka pani hai sambhal ja
ye aankhen surKH ye pairon ke chhaale
kisi ki mehrbani hai sambhal ja
wo mere ganw ke raste mein hoga
abhi bhi KHush-gumani hai sambhal ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.