mohabbat se agar bezar ho jate to achchha tha
mohabbat se agar bezār ho jaate to achchhā thā
ham is duniyā meñ duniyā-dār ho jaate to achchhā thā
sunā hai zindagī dushvāriyoñ hī meñ nikhartī hai
agar kuchh marhale dushvār ho jaate to achchhā thā
havādis ne jagāyā to magar mauqa nikalne par
agar ham vaqt par bedār ho jaate to achchhā thā
nahīñ ab bhī koī aisī pareshānī nahīñ lekin
zarā pahle hī se hushiyār ho jaate to achchhā thā
mohabbat se agar bezar ho jate to achchha tha
hum is duniya mein duniya-dar ho jate to achchha tha
suna hai zindagi dushwariyon hi mein nikharti hai
agar kuchh marhale dushwar ho jate to achchha tha
hawadis ne jagaya to magar mauqa nikalne par
agar hum waqt par bedar ho jate to achchha tha
nahin ab bhi koi aisi pareshani nahin lekin
zara pahle hi se hushiyar ho jate to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.