mohabbat se bhi kar-e-zindagi aasan nahin hota
mohabbat se bhi kar-e-zindagi aasan nahin hota
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
Interesting Fact
September 1942
mohabbat se bhī kār-e-zindagī āsāñ nahīñ hotā
bahal jaatā hai dil ġham kā magar darmāñ nahīñ hotā
kalī dil kī khile afsos ye sāmāñ nahīñ hotā
ghaTā.eñ ghir ke aatī haiñ magar bārāñ nahīñ hotā
mohabbat ke evaz meñ o mohabbat DhūñDne vaale
ye duniyā hai yahāñ aisā are nādāñ nahīñ hotā
dil-e-nākām ik tū hī nahīñ hai sirf mushkil meñ
use inkār karnā bhī to kuchh āsāñ nahīñ hotā
hañsī meñ ġham chhupā lenā ye sab kahne kī bāteñ haiñ
jo ġham dar-asl ġham hotā hai vo pinhāñ nahīñ hotā
zamāne ne ye taḳhtī kisht-e-armāñ par lagā dī hai
gul is kyārī meñ aatā hai magar ḳhandāñ nahīñ hotā
kahīñ kyā tum se ham apne dil-e-majbūr kā aalam
samajh meñ vaj.h-e-ġham aatī hai aur darmāñ nahīñ hotā
ma.āl-e-iḳhtilāf-e-bāhamī afsos kyā kahiye
har ik qatre meñ shorish hai magar tūfāñ nahīñ hotā
dayār-e-ishq hai ye zarf-e-dil kī jāñch hotī hai
yahāñ poshāk se andāza-e-insāñ nahīñ hotā
ġhurūr-e-husn terī be-niyāzī shān-e-istiġhnā
jabhī tak hai ki jab tak ishq be-pāyāñ nahīñ hotā
sadā-e-bāzgasht aatī hai ayyām-e-guzishta kī
ye dil vīrān ho jaane pe bhī vīrāñ nahīñ hotā
mohabbat to bajā-e-ḳhud ik īmāñ hai are 'mullā'
mohabbat karne vaale kā koī īmāñ nahīñ hotā
mohabbat se bhi kar-e-zindagi aasan nahin hota
bahal jata hai dil gham ka magar darman nahin hota
kali dil ki khile afsos ye saman nahin hota
ghaTaen ghir ke aati hain magar baran nahin hota
mohabbat ke ewaz mein o mohabbat DhunDne wale
ye duniya hai yahan aisa are nadan nahin hota
dil-e-nakaam ek tu hi nahin hai sirf mushkil mein
use inkar karna bhi to kuchh aasan nahin hota
hansi mein gham chhupa lena ye sab kahne ki baaten hain
jo gham dar-asl gham hota hai wo pinhan nahin hota
zamane ne ye taKHti kisht-e-arman par laga di hai
gul is kyari mein aata hai magar KHandan nahin hota
kahin kya tum se hum apne dil-e-majbur ka aalam
samajh mein wajh-e-gham aati hai aur darman nahin hota
maal-e-iKHtilaf-e-bahami afsos kya kahiye
har ek qatre mein shorish hai magar tufan nahin hota
dayar-e-ishq hai ye zarf-e-dil ki jaanch hoti hai
yahan poshak se andaza-e-insan nahin hota
ghurur-e-husn teri be-niyazi shan-e-istighna
jabhi tak hai ki jab tak ishq be-payan nahin hota
sada-e-bazgasht aati hai ayyam-e-guzishta ki
ye dil viran ho jaane pe bhi viran nahin hota
mohabbat to baja-e-KHud ek iman hai are 'mulla'
mohabbat karne wale ka koi iman nahin hota
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 225)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.