mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun
mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun
Hasan Shahnawaz Zaidi
MORE BYHasan Shahnawaz Zaidi
mohabbat se tirī yādeñ jagā kar so rahā huuñ
maiñ aadhī raat ko ḳhushbū lagā kar so rahā huuñ
sunā hai jab se tū ne raat āñkhoñ meñ basar kī
maiñ bistar kī jagah kāñTe bichhā kar so rahā huuñ
maiñ dariyā huuñ mirī gahrā.ī poshīda hai mujh meñ
giraft-e-ḳhāk se dāman chhuḌā kar so rahā huuñ
vo ghar meñ hai magar kahtā hai koī ghar nahīñ hai
to maiñ bhī aaj vīrāne meñ jā kar so rahā huuñ
nahīñ hai dastaras meñ ab zamīñ kā koī TukḌā
so maiñ kāġhaz pe apnā ghar banā kar so rahā huuñ
vo ḳhvāhish jis ko siine se abhī lipTā rahā thā
isī ko apne pahlū se haTā kar so rahā huuñ
mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun
main aadhi raat ko KHushbu laga kar so raha hun
suna hai jab se tu ne raat aankhon mein basar ki
main bistar ki jagah kanTe bichha kar so raha hun
main dariya hun meri gahrai poshida hai mujh mein
giraft-e-KHak se daman chhuDa kar so raha hun
wo ghar mein hai magar kahta hai koi ghar nahin hai
to main bhi aaj virane mein ja kar so raha hun
nahin hai dastaras mein ab zamin ka koi TukDa
so main kaghaz pe apna ghar bana kar so raha hun
wo KHwahish jis ko sine se abhi lipTa raha tha
isi ko apne pahlu se haTa kar so raha hun
- Book : Tamasha (Pg. 185)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.