mohabbat se waqar-e-zindagi hai
mohabbat se vaqār-e-zindagī hai
yahī to e'tibār-e-zindagī hai
vahī hotā hai jo vo chāhte haiñ
unhī par inhisār-e-zindagī hai
mohabbat se koī jab muskurā de
to har lamha bahār-e-zindagī hai
kisī kī yād-e-tanhā.ī kā aalam
judā sab se shi.ār-e-zindagī hai
hañsī ke saath bhiig uThtī haiñ palkeñ
ġham-e-be-iḳhtiyār-e-zindagī hai
tumhāre qurb kī me.arāj pā kar
ye dil mast-e-ḳhumār-e-zindagī hai
kisī se kyā kaheñ kyā hai mohabbat
yahī to rāz-dār-e-zindagī hai
kabhī rāhat kabhī ġham harz-e-jāñ hai
'vafā' ye kār-zār-e-zindagi hai
mohabbat se waqar-e-zindagi hai
yahi to e'tibar-e-zindagi hai
wahi hota hai jo wo chahte hain
unhi par inhisar-e-zindagi hai
mohabbat se koi jab muskura de
to har lamha bahaar-e-zindagi hai
kisi ki yaad-e-tanhai ka aalam
juda sab se shiar-e-zindagi hai
hansi ke sath bhig uThti hain palken
gham-e-be-iKHtiyar-e-zindagi hai
tumhaare qurb ki mearaj pa kar
ye dil mast-e-KHumar-e-zindagi hai
kisi se kya kahen kya hai mohabbat
yahi to raaz-dar-e-zindagi hai
kabhi rahat kabhi gham harz-e-jaan hai
'wafa' ye kar-zar-e-zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.