Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya

Shakeel Badayuni

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya

Shakeel Badayuni

aaj phir gardish-e-taqdīr pe ronā aayā

dil bigḌī huī tasvīr pe ronā aayā

ishq qaid meñ ab tak to umīdoñ pe jiye

miT ga.ī aas to zanjīr pe ronā aayā

kyā hasīñ ḳhvāb mohabbat ne dikhāyā thā hameñ

khul ga.ī aañkh to tābīr pe ronā aayā

pahle qāsid nazar dekh ke dil sahm gayā

phir tirī surḳhi-e-tahrīr pe ronā aayā

dil gañvā kar bhī mohabbat ke maze mil na sake

apnī khoī huī taqdīr pe ronā aayā

kitne masrūr the jiine duāoñ pe 'shakīl'

jab mile rañj to tāsīr pe ronā aayā

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya

dil ki bigDi hui taswir pe rona aaya

ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye

miT gai aas to zanjir pe rona aaya

kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein

khul gai aankh to tabir pe rona aaya

pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya

phir teri surKHi-e-tahrir pe rona aaya

dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake

apni khoi hui taqdir pe rona aaya

kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil'

jab mile ranj to tasir pe rona aaya

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Fahad Husain

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya Fahad Husain

Nomaan Shauque

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now