mohabbat zindagi hai zindagi ka nam masti hai
mohabbat zindagī hai zindagī kā naam mastī hai
agar mastī na ho to zindagī miTTī se sastī hai
ugaao duur tak ai dostoñ fasleñ mohabbat kī
mohabbat jis jagah hotī nahīñ la.anat barastī hai
vo rāh-e-zindagī meñ muskurānā bhuul jaatā hai
ġharībī jis ko apnī zulf ke panje meñ kastī hai
kabhī vo josh thā apne kināre kaaT detī thī
magar ab to nadī ḳhud qatre qatre ko tarastī hai
luTere aur qātil har jagah haiñ shahr meñ 'anjum'
nahīñ ma.alūm hāsil un ko kis kī sarparastī hai
mohabbat zindagi hai zindagi ka nam masti hai
agar masti na ho to zindagi miTTi se sasti hai
ugao dur tak ai doston faslen mohabbat ki
mohabbat jis jagah hoti nahin lanat barasti hai
wo rah-e-zindagi mein muskurana bhul jata hai
gharibi jis ko apni zulf ke panje mein kasti hai
kabhi wo josh tha apne kinare kaT deti thi
magar ab to nadi KHud qatre qatre ko tarasti hai
luTere aur qatil har jagah hain shahr mein 'anjum'
nahin malum hasil un ko kis ki sarparasti hai
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 40)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.