mohabbaton ka sila nahin hai
mohabbatoñ kā sila nahīñ hai
laboñ pe harf-e-duā nahīñ hai
nahīñ vo tasvīr paas mere
so haath merā jalā nahīñ hai
maiñ apnī lau meñ hī jal rahī huuñ
jo bujh gayā vo diyā nahīñ hai
bas ik piyālī hai mez par aur
vo muntazir ab mirā nahīñ hai
likhā janam-din pe us ko maiñ ne
vo ḳhat bhī us ko milā nahīñ hai
maiñ kis liye paar jā.ūñ 'shāhīn'
vahāñ mirā nā-ḳhudā nahīñ hai
mohabbaton ka sila nahin hai
labon pe harf-e-dua nahin hai
nahin wo taswir pas mere
so hath mera jala nahin hai
main apni lau mein hi jal rahi hun
jo bujh gaya wo diya nahin hai
bas ek piyali hai mez par aur
wo muntazir ab mera nahin hai
likha janam-din pe us ko main ne
wo KHat bhi us ko mila nahin hai
main kis liye par jaun 'shahin'
wahan mera na-KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.