mohabbaton ke chaman ki bahaar le ke chalen
mohabbatoñ ke chaman kī bahār le ke chaleñ
chaleñ to qāfila-e-mushk-bār le ke chaleñ
payām-e-amn ḳhulūs aur pyaar le ke chaleñ
vafā kā jazba-e-be-iḳhtiyār le ke chaleñ
qadam se pahle kareñ hausle kā andāza
buland azm qavī e.atibār le ke chaleñ
ġhamoñ se maarī huī kam-nasīb duniyā ko
na.e se ḳhvāb na.e lāla-zār le ke chaleñ
jamāl-e-shoḳh kā gar jāñ-fazā ishāra ho
to chashm-e-shauq-o-dil-e-be-qarār le ke chaleñ
shanāḳht apnī na kho.eñ jahāñ bhī jaa.eñ ham
dil-o-dimāġh meñ apnā dayār le ke chaleñ
baḌhā.eñ daulat-e-a.amāl-e-nek 'naġhmī' ki
na hashr meñ nigah-e-sharmsār le ke chaleñ
mohabbaton ke chaman ki bahaar le ke chalen
chalen to qafila-e-mushk-bar le ke chalen
payam-e-amn KHulus aur pyar le ke chalen
wafa ka jazba-e-be-iKHtiyar le ke chalen
qadam se pahle karen hausle ka andaza
buland azm qawi eatibar le ke chalen
ghamon se mari hui kam-nasib duniya ko
nae se KHwab nae lala-zar le ke chalen
jamal-e-shoKH ka gar jaan-faza ishaara ho
to chashm-e-shauq-o-dil-e-be-qarar le ke chalen
shanaKHt apni na khoen jahan bhi jaen hum
dil-o-dimagh mein apna dayar le ke chalen
baDhaen daulat-e-amal-e-nek 'naghmi' ki
na hashr mein nigah-e-sharmsar le ke chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.