mohabbaton ko bhi wadon mein rakh diya gaya hai
mohabbatoñ ko bhī va.adoñ meñ rakh diyā gayā hai
ki jaise phuul kitāboñ meñ rakh diyā gayā hai
charāġh ghar kī muñDeroñ pe rakh diye ga.e haiñ
aur intizār charāġhoñ meñ rakh diyā gayā hai
kabhī jo yaad purānī sajī thī kamre meñ
use bhī ab to darāzoñ meñ rakh diyā gayā hai
sadā.eñ sard havāoñ ko sauñp dī ga.ī thiiñ
phir us havā ko darīchoñ meñ rakh diyā gayā hai
maiñ ik gumāñ thī fasāne meñ Dhal ga.ī āḳhir
vo ek ḳhvāb thā āñkhoñ meñ rakh diyā gayā hai
mohabbaton ko bhi wadon mein rakh diya gaya hai
ki jaise phul kitabon mein rakh diya gaya hai
charagh ghar ki munDeron pe rakh diye gae hain
aur intizar charaghon mein rakh diya gaya hai
kabhi jo yaad purani saji thi kamre mein
use bhi ab to daraazon mein rakh diya gaya hai
sadaen sard hawaon ko saunp di gai thin
phir us hawa ko darichon mein rakh diya gaya hai
main ek guman thi fasane mein Dhal gai aaKHir
wo ek KHwab tha aankhon mein rakh diya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.