mohabbaton mein kabhi ye asar nazar aae
mohabbatoñ meñ kabhī ye asar nazar aa.e
vo ek baar dikhe umr bhar nazar aa.e
jo sar jhukā.ūñ to pairoñ meñ beḌiyāñ dekhūñ
jo sar uThā.ūñ to neze pe sar nazar aa.e
sukūn DhūñDte thak jā.ūñ aur āḳhir-kār
vo tañg galiyoñ meñ miTTī kā ghar nazar aa.e
na manziloñ kā patā hai na rāstoñ kī ḳhabar
bhaTaktī āñkhoñ ko ab rāhbar nazar aa.e
yahī to nauha hai furqat-zada in āñkhoñ kā
payām-e-yār mile nāma-bar nazar aa.e
tabhī to mānūñ ki haañ us ko bhī mohabbat hai
jab us kī āñkhoñ meñ furqat kā Dar nazar aa.e
mujh aisā bazm meñ koī to sar-ba-zānū ho
in hañste chehroñ meñ ik chashm-e-tar nazar aa.e
mohabbaton mein kabhi ye asar nazar aae
wo ek bar dikhe umr bhar nazar aae
jo sar jhukaun to pairon mein beDiyan dekhun
jo sar uThaun to neze pe sar nazar aae
sukun DhunDte thak jaun aur aaKHir-kar
wo tang galiyon mein miTTi ka ghar nazar aae
na manzilon ka pata hai na raston ki KHabar
bhaTakti aankhon ko ab rahbar nazar aae
yahi to nauha hai furqat-zada in aankhon ka
payam-e-yar mile nama-bar nazar aae
tabhi to manun ki han us ko bhi mohabbat hai
jab us ki aankhon mein furqat ka Dar nazar aae
mujh aisa bazm mein koi to sar-ba-zanu ho
in hanste chehron mein ek chashm-e-tar nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.