mohabbaton mein kisi ki hawas milae hue
mohabbatoñ meñ kisī kī havas milā.e hue
maiñ lauT aaya huuñ ḳhālis badan uThā.e hue
maiñ jitnā chīḳhūñgā utnī ḳhamoshī phailegī
ka.ī sadā.eñ haiñ siine meñ ghar banā.e hue
tum apne khāne meñ jitnā namak milāte ho
maiñ apne ġham meñ huuñ utnī ḳhushī milā.e hue
kamāyā jaatā hai paise se jis tarah paisa
ye saare ġham haiñ tire ġham se hī kamā.e hue
dukhoñ ke bojh se phūTegī jald ye gullak
jagah se baḌh ke haiñ sikke yahāñ samā.e hue
mohabbaton mein kisi ki hawas milae hue
main lauT aaya hun KHalis badan uThae hue
main jitna chiKHunga utni KHamoshi phailegi
kai sadaen hain sine mein ghar banae hue
tum apne khane mein jitna namak milate ho
main apne gham mein hun utni KHushi milae hue
kamaya jata hai paise se jis tarah paisa
ye sare gham hain tere gham se hi kamae hue
dukhon ke bojh se phuTegi jald ye gullak
jagah se baDh ke hain sikke yahan samae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.