mohabbaton ne baDi her-pher kar di hai
mohabbatoñ ne baḌī her-pher kar dī hai
vafā ġhurūr ke qadmoñ meñ Dher kar dī hai
kaTī hai raat baḌe iztirāb meñ apnī
tire ḳhayāl meñ ham ne saver kar dī hai
ham ahl-e-ishq to barsoñ ke mar ga.e hote
urūs-e-marg ne aane meñ der kar dī hai
aTe hue haiñ faqīroñ ke pairahan 'kaifī'
jahāñ ne bhiik meñ miTTī bikher kar dī hai
mohabbaton ne baDi her-pher kar di hai
wafa ghurur ke qadmon mein Dher kar di hai
kaTi hai raat baDe iztirab mein apni
tere KHayal mein hum ne sawer kar di hai
hum ahl-e-ishq to barson ke mar gae hote
urus-e-marg ne aane mein der kar di hai
aTe hue hain faqiron ke pairahan 'kaifi'
jahan ne bhik mein miTTi bikher kar di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.