mohabbaton par dil-e-hazin ko nisar karna
mohabbatoñ par dil-e-hazīñ ko nisār karnā
hai yuuñ ki jaise junūñ meñ ḳhud hī pe vaar karnā
ajab nahīñ vo bhī mere raste pe ḳhud ko Daale
vo jis ne sīkhā hai qāfiloñ ko ġhubār karnā
vo ek bārish kī muntazir be-shumār āñkheñ
vo ek tūfāñ kā bastiyoñ ko shumār karnā
mujhe to us ne tamām lamhe vahī diye haiñ
vahī jo ahl-e-junūñ ko hoñ iḳhtiyār karnā
shafaq utar kar tumhāre pallū se bañdh ga.ī hai
jo ho sake to sahar talak ye hisār karnā
aziyyatoñ kā ḳhamīr zaḳhm-e-nihāñ se uTThā
kabhī jo chāhā hai dil kā sahrā bahār karnā
mohabbaton par dil-e-hazin ko nisar karna
hai yun ki jaise junun mein KHud hi pe war karna
ajab nahin wo bhi mere raste pe KHud ko Dale
wo jis ne sikha hai qafilon ko ghubar karna
wo ek barish ki muntazir be-shumar aankhen
wo ek tufan ka bastiyon ko shumar karna
mujhe to us ne tamam lamhe wahi diye hain
wahi jo ahl-e-junun ko hon iKHtiyar karna
shafaq utar kar tumhaare pallu se bandh gai hai
jo ho sake to sahar talak ye hisar karna
aziyyaton ka KHamir zaKHm-e-nihan se uTTha
kabhi jo chaha hai dil ka sahra bahaar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.