mohlat mile jo marhala-e-rah-guzar ke baad
mohlat mile jo marhala-e-rah-guzar ke baa'd
leñge safar kā jā.eza ḳhatm-e-safar ke baa'd
phir bhī talab ḳharāj kī vīrāñ dayār se
pahlū meñ kyā rahā tirī pahlī nazar ke baa'd
har-chand mil ga.ī hai qafas se hameñ najāt
jaa.eñ kahāñ shikastagī-e-bāl-o-par ke baa'd
patthar baras rahe haiñ to khul kar baras paḌeñ
mumkin hai aur sar na mile mere sar ke baa'd
baaqī rahī na dil pe girāñ-bārī-e-ḳhalish
ik bojh Tal gayā gila-e-muḳhtasar ke baa'd
sab kuchh to mil gayā hai jabīn-e-niyāz ko
ab aur kyā milegā tire sang-e-dar ke baa'd
jhankār beḌiyoñ kī na vo shorish-e-junūñ
galiyāñ udaas haiñ tire shorīda-sar ke baa'd
ai 'aql-e-nā-rasā tujhe shāyad ḳhabar nahīñ
kuchh aur bhī hai sarhad-e-fikr-o-nazar ke baa'd
ai gardish-e-zamāna ye baḳhshish bhī kam nahīñ
pūchhe ga.e jo ahl-e-hunar be-hunar ke baa'd
hai tīrgī-e-shab abhī mehmāñ to kyā huā
aa.egī raushnī bhī varūd-e-sahar ke baa'd
ġham ke sivā kisī ne rifāqat na kī mirī
samjhī ye baat maiñ ne magar 'umr bhar ke baa'd
qismat meñ be-zarī hai to 'bahzād' ġham nahīñ
ab aur kyā havas ho matā'-e-hunar ke baa'd
mohlat mile jo marhala-e-rah-guzar ke ba'd
lenge safar ka jaeza KHatm-e-safar ke ba'd
phir bhi talab KHaraj ki viran dayar se
pahlu mein kya raha teri pahli nazar ke ba'd
har-chand mil gai hai qafas se hamein najat
jaen kahan shikastagi-e-baal-o-par ke ba'd
patthar baras rahe hain to khul kar baras paDen
mumkin hai aur sar na mile mere sar ke ba'd
baqi rahi na dil pe giran-bari-e-KHalish
ek bojh Tal gaya gila-e-muKHtasar ke ba'd
sab kuchh to mil gaya hai jabin-e-niyaz ko
ab aur kya milega tere sang-e-dar ke ba'd
jhankar beDiyon ki na wo shorish-e-junun
galiyan udas hain tere shorida-sar ke ba'd
ai 'aql-e-na-rasa tujhe shayad KHabar nahin
kuchh aur bhi hai sarhad-e-fikr-o-nazar ke ba'd
ai gardish-e-zamana ye baKHshish bhi kam nahin
puchhe gae jo ahl-e-hunar be-hunar ke ba'd
hai tirgi-e-shab abhi mehman to kya hua
aaegi raushni bhi warud-e-sahar ke ba'd
gham ke siwa kisi ne rifaqat na ki meri
samjhi ye baat main ne magar 'umr bhar ke ba'd
qismat mein be-zari hai to 'bahzad' gham nahin
ab aur kya hawas ho mata'-e-hunar ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.