mohlat na mili KHwab ki tabir uThate
mohlat na milī ḳhvāb kī ta.abīr uThāte
ham maare ga.e TuuTe hue tiir uThāte
māmūr thiiñ sūraj kī gavāhī pe havā.eñ
phir saa.e kahāñ dhuup kī jāgīr uThāte
tujh tak bhī pahuñchne ke liye vaqt nahīñ thā
kab daulat-e-duniyā tire rah-gīr uThāte
bas ek hī ḳhvāhish sar-e-maqtal hameñ yaad aa.ī
zindāñ se nikalte hue zanjīr uThāte
us vaqt bhī hāthoñ ne qalam ko nahīñ chhoḌā
jab in pe zarūrī thā ki shamshīr uThāte
ham log 'salīm' asal se kaT kar nahīñ jiite
kyā soch ke āḳhir koī tasvīr uThāte
mohlat na mili KHwab ki tabir uThate
hum mare gae TuTe hue tir uThate
mamur thin suraj ki gawahi pe hawaen
phir sae kahan dhup ki jagir uThate
tujh tak bhi pahunchne ke liye waqt nahin tha
kab daulat-e-duniya tere rah-gir uThate
bas ek hi KHwahish sar-e-maqtal hamein yaad aai
zindan se nikalte hue zanjir uThate
us waqt bhi hathon ne qalam ko nahin chhoDa
jab in pe zaruri tha ki shamshir uThate
hum log 'salim' asal se kaT kar nahin jite
kya soch ke aaKHir koi taswir uThate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.