mohtaram nek dil KHush KHisal aadmi
mohtaram nek dil ḳhush ḳhisāl aadmī
ab nazar aate haiñ ḳhāl-ḳhāl aadmī
hai yahī daur-e-qaht-ur-rijāl aadmī
kab dikhā.eñge apnā kamāl aadmī
jā ba jā zālimoñ kā tasallut hai kyoñ
aadmī kā hai tujh se savāl aadmī
shād-o-ābād rahne se qāsir haiñ ye
kyoñ tabāhī ke bunte haiñ jaal aadmī
khoī insāniyat se haiñ mahrūm ab
roz karte haiñ jang-o-jidāl aadmī
nafs-e-ammāra ne aisā be-his kiyā
aadmī kī na ban paa.e Dhaal aadmī
ye sifat meñ taġhayyur ke asbāb haiñ
khā rahe haiñ harām-o-halāl aadmī
dil kā ā.īnā ab in kā chehrā nahīñ
aap apne haiñ ab yarġhamāl aadmī
thā sarokār sidq-o-safā se inheñ
aaj karte haiñ bas qīl-o-qāl aadmī
ye mire ahd-e-bad-baḳht kī baat hai
aadmī kī hī khīñche hai khaal aadmī
qabr meñ bhī to ġhārat-gar-e-amn haiñ
kar ke jaa.e kahāñ intiqāl aadmī
sher bhī 'sarfarāz' us ke haiñ munfarid
shaan ye hai ki hai be-misāl aadmī
mohtaram nek dil KHush KHisal aadmi
ab nazar aate hain KHal-KHal aadmi
hai yahi daur-e-qaht-ur-rijal aadmi
kab dikhaenge apna kamal aadmi
ja ba ja zalimon ka tasallut hai kyon
aadmi ka hai tujh se sawal aadmi
shad-o-abaad rahne se qasir hain ye
kyon tabahi ke bunte hain jal aadmi
khoi insaniyat se hain mahrum ab
roz karte hain jang-o-jidal aadmi
nafs-e-ammara ne aisa be-his kiya
aadmi ki na ban pae Dhaal aadmi
ye sifat mein taghayyur ke asbab hain
kha rahe hain haram-o-halal aadmi
dil ka aaina ab in ka chehra nahin
aap apne hain ab yarghamal aadmi
tha sarokar sidq-o-safa se inhen
aaj karte hain bas qil-o-qal aadmi
ye mere ahd-e-bad-baKHt ki baat hai
aadmi ki hi khinche hai khaal aadmi
qabr mein bhi to ghaarat-gar-e-amn hain
kar ke jae kahan intiqal aadmi
sher bhi 'sarfaraaz' us ke hain munfarid
shan ye hai ki hai be-misal aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.