mohtasib ne jo nikala hamein maiKHane se
mohtasib ne jo nikālā hameñ maiḳhāne se
duur tak aañkh milāte ga.e paimāne se
aaj to ḳhum hī lagā de mire muñh se saaqī
merī niyyat nahīñ bhartī tire paimāne se
aap itnā to zarā hazrat-e-nāseh samjheñ
jo na samjhe use kyā fā.eda samjhāne se
maiñ ne chakkhī thī to saaqī ne kahā joḌ ke haath
aap lillāh chale jā.iye maiḳhāne se
tum zarā nāseh-e-nādāñ ko dikhā do jalva
baaz aatā nahīñ zālim mujhe samjhāne se
na uThe jaur kisī se to vo ro kar bole
be-maza ho ga.e ham 'ashk' ke mar jaane se
mohtasib ne jo nikala hamein maiKHane se
dur tak aankh milate gae paimane se
aaj to KHum hi laga de mere munh se saqi
meri niyyat nahin bharti tere paimane se
aap itna to zara hazrat-e-naseh samjhen
jo na samjhe use kya faeda samjhane se
main ne chakkhi thi to saqi ne kaha joD ke hath
aap lillah chale jaiye maiKHane se
tum zara naseh-e-nadan ko dikha do jalwa
baz aata nahin zalim mujhe samjhane se
na uThe jaur kisi se to wo ro kar bole
be-maza ho gae hum 'ashk' ke mar jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.