mom hai aankhon ka patthar dekh to
mom hai āñkhoñ kā patthar dekh to
jaise maiñ royā huuñ ro kar dekh to
ġham kī manzil is qadar suunī nahīñ
do-ghaḌī hamrāh chal kar dekh to
raah meñ bhī tujh se tanhā log haiñ
ghar meñ hai ghar se nikal kar dekh to
lū rukī to khiḌkiyāñ khulne lagīñ
har darīche meñ hai ḳhanjar dekh to
tere jalvoñ se makāñ bhar jā.egā
aks hai ā.īna ban kar dekh to
maiñ bhī shāyad jī sakūñ tere baġhair
ek din mujh se bichhaḌ kar dekh to
ḳhāmushī kā daur ruḳhsat ho chukā
maan hī jā.egā kah kar dekh to
tū ne jis jalve ko parda kar diyā
ghūmtā-phirtā hai ghar ghar dekh to
terī āñkheñ bhī bhar aa.eñ ġhāliban
tū bhī merā naam le kar dekh to
gore gāloñ meñ gaḌhe paḌ jā.eñge
ashk' un ko gudgudā kar dekh to
mom hai aankhon ka patthar dekh to
jaise main roya hun ro kar dekh to
gham ki manzil is qadar suni nahin
do-ghaDi hamrah chal kar dekh to
rah mein bhi tujh se tanha log hain
ghar mein hai ghar se nikal kar dekh to
lu ruki to khiDkiyan khulne lagin
har dariche mein hai KHanjar dekh to
tere jalwon se makan bhar jaega
aks hai aaina ban kar dekh to
main bhi shayad ji sakun tere baghair
ek din mujh se bichhaD kar dekh to
KHamushi ka daur ruKHsat ho chuka
man hi jaega kah kar dekh to
tu ne jis jalwe ko parda kar diya
ghumta-phirta hai ghar ghar dekh to
teri aankhen bhi bhar aaen ghaaliban
tu bhi mera nam le kar dekh to
gore galon mein gaDhe paD jaenge
ashk' un ko gudguda kar dekh to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.