besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man
Interesting Fact
A beautiful emotional poem dedicated to all mothers
besan kī sauñdhī roTī par khaTTī chaTnī jaisī maañ
yaad aatī hai! chaukā bāsan chimTā phuknī jaisī maañ
baañs kī kharrī khaaT ke uupar har aahaT par kaan dhare
aadhī soī aadhī jaagī thakī do-pahrī jaisī maañ
chiḌiyoñ kī chahkār meñ gūñje rādhā mohan alī alī
murġhe kī āvāz se bajtī ghar kī kunDī jaisī maañ
biivī beTī bahan paḌosan thoḌī thoḌī sī sab meñ
din bhar ik rassī ke uupar chaltī naTnī jaisī maañ
baañT ke apnā chehra māthā āñkheñ jaane kahāñ ga.ī
phaTe purāne ik album meñ chanchal laḌkī jaisī maañ
besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man
yaad aati hai! chauka basan chimTa phukni jaisi man
bans ki kharri khaT ke upar har aahaT par kan dhare
aadhi soi aadhi jagi thaki do-pahri jaisi man
chiDiyon ki chahkar mein gunje radha mohan ali ali
murghe ki aawaz se bajti ghar ki kunDi jaisi man
biwi beTi bahan paDosan thoDi thoDi si sab mein
din bhar ek rassi ke upar chalti naTni jaisi man
banT ke apna chehra matha aankhen jaane kahan gai
phaTe purane ek album mein chanchal laDki jaisi man
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 381)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.