Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin

Javed Akhtar

mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    mujh ko yaqīñ hai sach kahtī thiiñ jo bhī ammī kahtī thiiñ

    jab mere bachpan ke din the chāñd meñ pariyāñ rahtī thiiñ

    ek ye din jab apnoñ ne bhī ham se naata toḌ liyā

    ek vo din jab peḌ shāḳheñ bojh hamārā sahtī thiiñ

    ek ye din jab saarī saḌkeñ rūThī rūThī lagtī haiñ

    ek vo din jab aao kheleñ saarī galiyāñ kahtī thiiñ

    ek ye din jab jaagī rāteñ dīvāroñ ko taktī haiñ

    ek vo din jab shāmoñ bhī palkeñ bojhal rahtī thiiñ

    ek ye din jab zehn meñ saarī ayyārī bāteñ haiñ

    ek vo din jab dil meñ bholī-bhālī bāteñ rahtī thiiñ

    ek ye din jab lākhoñ ġham aur kaal paḌā hai aañsū

    ek vo din jab ek zarā baat pe nadiyāñ bahtī thiiñ

    ek ye ghar jis ghar meñ merā sāz-o-sāmāñ rahtā hai

    ek vo ghar jis ghar meñ merī būḌhī naanī rahtī thiiñ

    mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin

    jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin

    ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata toD liya

    ek wo din jab peD ki shaKHen bojh hamara sahti thin

    ek ye din jab sari saDken ruThi ruThi lagti hain

    ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin

    ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain

    ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin

    ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain

    ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin

    ek ye din jab lakhon gham aur kal paDa hai aansu ka

    ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin

    ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai

    ek wo ghar jis ghar mein meri buDhi nani rahti thin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now