Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun

Taimur Hasan

moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun

Taimur Hasan

MORE BYTaimur Hasan

    motī nahīñ huuñ ret zarra to maiñ bhī huuñ

    dariyā tire vajūd hissa to maiñ bhī huuñ

    ai qahqahe bikherne vaale ḳhush bhī hai

    hañsne baat chhoḌ ki hañstā to maiñ bhī huuñ

    mujh meñ aur us meñ sirf muqaddar farq hai

    varna vo shaḳhs jitnā hai utnā to maiñ bhī huuñ

    us soch duniyā meñ jis koī nahīñ

    kis liye udaas hai terā to maiñ bhī huuñ

    ik ek kar ke Dūbte taare bujhā ga.e

    mujh ko bhī Dūbnā hai sitāra to maiñ bhī huuñ

    ik aa.ine meñ dekh ke aayā hai ye ḳhayāl

    maiñ kyuuñ na us se kah duuñ ki tujh to maiñ bhī huuñ

    moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun

    dariya tere wajud ka hissa to main bhi hun

    ai qahqahe bikherne wale tu KHush bhi hai

    hansne ki baat chhoD ki hansta to main bhi hun

    mujh mein aur us mein sirf muqaddar ka farq hai

    warna wo shaKHs jitna hai utna to main bhi hun

    us ki tu soch duniya mein jis ka koi nahin

    tu kis liye udas hai tera to main bhi hun

    ek ek kar ke Dubte tare bujha gae

    mujh ko bhi Dubna hai sitara to main bhi hun

    ek aaine mein dekh ke aaya hai ye KHayal

    main kyun na us se kah dun ki tujh sa to main bhi hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now