mubah howegi uske tain farang sharab
mubāh hovegī us ke ta.iiñ farang sharāb
piyā kare hai jo ḳhūn-e-jigar ba-rang sharāb
chakhī hai chāshnī jis ne dil-e-birishta kī
vo shīr-e-mādar-e-baujhā hai be-darang sharāb
jo āshnā ho mohabbat se mai ke piine kā
safā karegī haqīqat meñ dil kā zang sharāb
ba-resh-e-dil mire marham hai par maiñ hairāñ huuñ
chubhī hai kyuuñ dil-e-zāhid meñ juuñ ḳhadang sharāb
sharāb kyā goyā ainak hai dil kī āñkhoñ kī
zuhūr-e-jalva-e-haq hai ba-har-tarañg sharāb
mubah howegi us ke tain farang sharab
piya kare hai jo KHun-e-jigar ba-rang sharab
chakhi hai chashni jis ne dil-e-birishta ki
wo shir-e-madar-e-baujha hai be-darang sharab
jo aashna ho mohabbat se mai ke pine ka
safa karegi haqiqat mein dil ka zang sharab
ba-resh-e-dil mere marham hai par main hairan hun
chubhi hai kyun dil-e-zahid mein jun KHadang sharab
sharab kya goya ainak hai dil ki aankhon ki
zuhur-e-jalwa-e-haq hai ba-har-tarang sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.