mubarak dosto tumko tumhaari bazm-arai
mubārak dosto tum ko tumhārī bazm-ārā.ī
ḳhudā-hāfiz maiñ ab chaltā huuñ sū-e-dasht-e-tanhā.ī
ravish badlī na gul mahke na naġhme haiñ na shahnā.ī
baḌā shohrā thā gulshan meñ bahār aa.ī bahār aa.ī
ḳhushā e.ajāz ulfat daf.atan ye kaisī yaad aa.ī
sar-e-tūr-e-taḳhayyul jaise mauj-e-barq lahrā.ī
na hargiz shikva-e-begānagī kartā zamāne se
jo hotā āshnā-e-lazzat-e-zaḳhm-e-shanāsā.ī
koī sar-gashta-e-rasm-e-junūñ hai na.ara-zan 'at.har'
sar-e-shahr-e-ḳhamoshāñ kaisī āvāz-e-azāñ aa.ī
mubarak dosto tum ko tumhaari bazm-arai
KHuda-hafiz main ab chalta hun su-e-dasht-e-tanhai
rawish badli na gul mahke na naghme hain na shahnai
baDa shohra tha gulshan mein bahaar aai bahaar aai
KHusha eajaz ulfat dafatan ye kaisi yaad aai
sar-e-tur-e-taKHayyul jaise mauj-e-barq lahrai
na hargiz shikwa-e-beganagi karta zamane se
jo hota aashna-e-lazzat-e-zaKHm-e-shanasai
koi sar-gashta-e-rasm-e-junun hai nara-zan 'athar'
sar-e-shahr-e-KHamoshan kaisi aawaz-e-azan aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.