mubarak hon tujhe KHairaat ke gul
mubārak hoñ tujhe ḳhairāt ke gul
khileñge phir mire hālāt ke gul
koī to jiit kar bhī ḳhush nahīñ hai
kisī ko bhā rahe haiñ maat ke gul
abhī jumloñ meñ un ke hai sharārat
abhī taaza haiñ kuchh jazbāt ke gul
duā go haiñ ka.ī hansoñ ke joḌe
khilā de yā ḳhudā barsāt ke gul
tumhārī ḳhushbueñ pahchāntā huuñ
ye lagte haiñ tumhāre haath ke gul
abhī har hukm maanā jā rahā hai
abhī taaza haiñ merī baat ke gul
unheñ kaise nazar-andāz kar duuñ
jo tum ne bheje hai sauġhāt ke gul
mubarak hon tujhe KHairaat ke gul
khilenge phir mere haalat ke gul
koi to jit kar bhi KHush nahin hai
kisi ko bha rahe hain mat ke gul
abhi jumlon mein un ke hai shararat
abhi taza hain kuchh jazbaat ke gul
dua go hain kai hanson ke joDe
khila de ya KHuda barsat ke gul
tumhaari KHushbuen pahchanta hun
ye lagte hain tumhaare hath ke gul
abhi har hukm mana ja raha hai
abhi taza hain meri baat ke gul
unhen kaise nazar-andaz kar dun
jo tum ne bheje hai saughat ke gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.